Usay apnai zaat ki fiker thi
wo jo maira wakif-e-haal tha
wohi uski subh -o- urooj thi
wohi maira waqt -e- zawaall tha
mairay dard jaisay wo janta
...mairi baat kaisay wo manta
woh tou khud fana k safar main tha
usay rokna bhi muhaal tha
kahan jao gay mujhay choor kar
main ye poch pooch k thuk gayi
woh jawab mujh ko na dey saka
woh tou aap sarapa-e-sawal tha
dam e wapsi aray kya hoa
na woh roshni na woh taazgi
woh sitara kaisay bikher gya
woh tou aap apni misaal tha
woh mujh say lag k roo diya
aur sirf itna hi keh saka
jisay janta tha main zindagi
woh to maira weham -o- khayal tha
woh milla tou barsoon k baad bhi
mairay lub pay koi gilla na tha
usay mairi chup nay rulla diya
jisay guftagoo main kamal tha .........
No comments:
Post a Comment