dhanak dhanak meri poro.n ke khaab kar daiga
wo lams mere badan ko gulaab kar daiga
qabaae.n jism ke har taar se guzarta hua
kiran ka piyaar mujhay aaftaab kar daiga
main such kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhoot bolega aur lajawaab kar daiga
ana parst hai itna ke baat se pehle
wo uth ke band meri har kitaab kar daiga
usi tarhan se agar chahta raha paiham
sukhan war mai mujhay intekhaab kar daiga
meri tarhan se koi hai jo zindagi apni
tumhari yaad ke naam intesaab kar daiga
No comments:
Post a Comment