MyUrduStuff

Thursday, January 27, 2011

aap aur ham sabhi kay aangan mein shama jalti rahay to behtar hay


Khon apna ho ya paraya ho
nasl-e aadam ka khon hay aakhir
jang mashriq mein ho kay magrib mein
amn-e aalam ka khon hay aakhir

bam gharon par girein kay sarhad par
roh-e taameer zakhm khati hay
khait apnay jalein kay auroon kay
zeast faqoon say tilmilati hay

tenk aagay bharein kay peechay hatein
kokh dharti ki banjh hoti hay
fatah ka jashn ho kay har ka sog
zindagi mayyaton par roti hay

jang to khoud hi aik masla hay
jang kiya masaalon ka hal day gi
aag aur khon aaj bakhshay gi
bhok aur ihtiaj kal day gi

is leeay aay sharif insano
jang talti rahay to behtar hay
aap aur ham sabhi kay aangan mein
shama jalti rahay to behtar hay

No comments:

Post a Comment