aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du’aa yaad nahin
hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahin
aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee
zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de
jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de
jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin
un nazroon peh koi raah ujagar ker de
jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko
himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile
ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqrar karein aur tapish mit jaa’e
hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN
aaj izhar karein aur khalish mit jaa’e
No comments:
Post a Comment