MyUrduStuff

Wednesday, January 19, 2011

ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa

ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunate ho us tan-man ka jo do-nim huaa

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadir huaa
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir hua

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam huee
us miTTi kaa jis kii hurmat mansub uduu ke naam hue

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhi nahii.n

us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa
us phuul kaa jo beqimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajha

un maasumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n
yaa un mazalumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n
aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n

yaa un JhuuTe iqararo.n kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishanaa hue

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye
is jashn me.n bhii shamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye

No comments:

Post a Comment