MyUrduStuff

Thursday, January 27, 2011

Meri Zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeeN sahi

Meri Zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeeN sahi
Wo nigaah-E-shauq se door haiN, rag-E-jaaN se laakh QareeN sahi

HamaiN jaan deni hai aik din, wo kisi tarah wo kaheeN sahi
HamaiN aap khainchiye daar par, jo nahiN koi to hameeN sahi

Sar-E-toor ho, sar-E-hashr ho, hamain intezaar qabool hai
Wo kabhi mileN,wo kahin mileN,wo kabhi sahi, wo kaheeN sahi

Na ho un pe kuchh mera bass nahiN, ke ye aashqi hai hawas nahiN
MaiN unhi ka tha, main unhi ka huN, wo mere nahiN, to nahiN sahi

Mujhe bhaiThne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman meN agar nahiN, teri anjuman ke qareeN sahi

Tera dar to hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameeN sahi
HamaiN sajda karne se kaam hai, jo wahaN nahiN to yaheeN sahi

Meri Zindagi ka naseeb hai, nahiN door mujh se qareeb hai
Mujhe uska Gham to naseeb hai, wo agar nahiN to naheeN sahi

Jo ho faislaa woh sunaaiye, usay hashr par na uthaaiye
Jo karaiNge aap sitam wahaN, wo abhi sahi, wo yaheeN sahi

UnheN dekhne ki jo lou lagi, to dekh hi laiNge hum
Wo hazaar aaNkh se door hoN, wo hazaar pardah nasheeN sahi...!!!

No comments:

Post a Comment