MyUrduStuff

Wednesday, January 19, 2011

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun
dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun
meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun
aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaunret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun
merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne
beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun
dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n
dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun
niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun

No comments:

Post a Comment