MyUrduStuff

Sunday, January 30, 2011

KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….
mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna usk qareeb hota

Naraz

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga
Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga
Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga
Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga
Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga
Naraz

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey
Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey
Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey
Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey
Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,
Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,
Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,
Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham gha

Har ek lamha naya ik imtehan hai,

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,
main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,
Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,
Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,
Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,
Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,
Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin
wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin
ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin
hai shor-saa taraf taraf k

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata
yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata
bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !
Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !
Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !
Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !
Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya

Bewafa waqat se wafa mange,

Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !
Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !
Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !
Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !
Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !
Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange !!

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !
Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !
Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !
Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !
Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta ha

Mushkilon ko karta Jo aasan hai,

Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !
Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !
Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !
Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !
Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !
Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhi zinda

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain
Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,
Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain,
Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain,
Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain…

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote
Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote
Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote
Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote
Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilo

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay,
Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin,
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay,
Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqada

Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa

Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua
Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua
Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua
Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita

Zindgi per kitab likhunga… Us mai sarey hisab likhunga….

Zindgi per kitab likhunga…
Us mai sarey hisab likhunga….
Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhunga..,
Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga…..
Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhunga….
Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhunga….
Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhung

Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Ga

Kia hai jo pyar to chupate kion ho

Kia hai jo pyar to chupate kion ho
Mehfil mein mera naam dohrate kion ho
Jal rahay ho mere pyar ki bhatti mein
Phir hijar ka dard cupate kion ho
Khuwabon mein bhi agar iqrar nahi
To khuwaboon mein phir aate kion ho
Nazrain mila ke sharma jate ho jo
Nazrain hum se milaate hi kion ho
Maan lo! ke dil hamain de baithay ho
Aag ko ab baraf batate kion ho
Chalo keh do tumhain se pyar nahi
yeh kehne se phir ghabratay kion ho<

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna…

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna…
Ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna…
Woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar…
Tum raah guzaron se mera zikar na kerna…
Phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se…
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna…
Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein…
Ab chaand sitaron se mera zikar na kerna…
Woh meri kahani ko galat rang na de dein

Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,

Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte..

Mohabat khawab hoti hai,

Mohabat khawab hoti hai,
Mohabat baat hoti hai,
Ager koi pooch bethey to
mohabat raaz hoti hai,
Machalti hui umangon ka
sohana saath hoti hai,
Ager koi dhondna chahy to
mohabat nayab hoti hai,
Mohabat yun b hoti hai
kurbay zaat hoti hai,
Mohabat phool hai shayid!
Ghamon ki dhool hai shaid!
Ksi ka saath hai shaid!
Chamakti raat hai shaid!
Mohabat pur skøøn b hai.,
Mager!
Betaab hoti h

Koi apna aisa hua kare,

Koi apna aisa hua kare,
Jo shikayatein na gila kare,
Jo mere liye hi saja kare,
Jo mere liye hi bana kare,
Mein jo rooth jaon manaye woh,
Mein udas hoon to hansaye woh,
Sada chupke chupke dabe qadam,
Mere saath hi bas chala kare,
Kabhie us se mein jo door hoon,
Meri wapsi ki dua kare,
Koi apna aisa hua kare,
KOi apna aisa hua kare….!

غم کسےآپ کےمحفل سے چلےجانے کا

غم کسےآپ کےمحفل سے چلےجانے کا
دور چلتا ہی رہے گا یوں ہی پیمانے کا

آئے کس سمت سے آخر ہمیں جانا ہے کہاں
در نہ دیکھا کہیں آنے نہ کہیں جانے کا

آخرش حسن پگھل جانے پہ مجبور ہوا۔۔۔
جذ بۂ عشق سلامت رہے پروانے کا۔۔۔۔۔۔

بےخودی مجھ پہ ذرا تو ہی عنایت کردے
تاکہ احساس نہ ہو جی سےگزرجانے کا۔۔

چارہ گر اس سے مرا حال ابھی مت کہنا
وہ یہ سمجھیں نہ بہانہ کہیں بلوانے کا۔۔۔

بھیڑئےبھیڑکےملبوس میں جو پھرتےہیں
حق رضیّہ انھیں کب آدمی کہلانے کا
رضیّہ کاظمی
پرنسٹن،نیو جرسی

نیند میں کھویا ہوا تھا ایک شہر

نیند میں کھویا ہوا تھا ایک شہر
روشنی میں خواب سے باہر کھلا

دھوپ تھی اور دن کا لمبا دشت تھا
رات کو باغ ِ مہ و اختر کھلا

اب تلک بے جسم تھا میرا وجود
یہ تو اس کے جسم کو چھو کر کھلا

اک جزیرے سے ہوا لائی پیام
بادباں لہرا گئے، لنگر کھلا

ڈوبنے سے ایک لمحہ پیشتر
ساحل ِسر سبز کا منظر کھلا

ایک قسمت، شمع، پروانے کی ہے
راز یہ اس شعلے کی زد پر کھلا

وہ محبت تھی ردائے مفلسی
پاؤں کو ڈھانپا تو میرا سر کھلا

پھر ستارہ وار اس کو دیکھنا
طائر ِ بستہ کا جونہی پر کھلا

آخر ِ شب تک مسافر کے لیے
ہم نے رکھا دل کا اک اک در کھلا

زندگی فانوس و گلداں ہو گئی
اس طرح اک دن وہ شیشہ گر کھلا

قائد اعظم کے بارے میں حیرت انگیز انکشافات

ایک حیرت انگیز انکشاف جو قابل غور بھی ہے
ڈاکٹر صفدر محمود

آج میں آپ کو ایک نہایت دلچسپ بات بتانے والا ہوں جسے کچھ لوگ قدرت کی رمزیں، کچھ لوگ حسن اتفاق اور کچھ حضرات محض تاریخی حادثات قرار دیں گے لیکن ہماری تاریخ کا یہ پہلو فکرانگیز، منفرد اور قابل غور ہے اس لئے میرے ساتھ رہئے گا اور میں جو کچھ کہنے والا ہوں اس پر غور کیجئے گا۔
آپ جانتے ہیں کہ پاکستان چودہ اور پندرہ اگست 1947ء کی درمیانی شب رات بارہ بجے معرض وجود میں آیا تھا اور بارہ بجتے ہی آل انڈیا ریڈیو لاہور، پشاور نے یہ ”ریڈیو پاکستان ہے “ کا اعلان کرکے پاکستان کے طول وعرض میں جشن آزادی کا سماں پیدا کر دیا تھا جس کا ایک ایک لمحہ جوش و جذبے اور بے انتہا مسرتوں سے لبریز تھا ۔چنانچہ ہمارا پہلا یوم پاکستان پندرہ اگست 1947ء کو منایا گیا جو جمعتہ الوداع تھا اور جس رات پاکستان دنیا کے نقشے پر ابھرا وہ رمضان المبارک کی ستائیسویں یعنی شب قدر تھی ۔ یہ رمزیں صرف ان لوگوں کے لئے معنی خیزہیں جو انہیں سمجھنے کی صلاحیت رکھتے ہیں ورنہ عام لوگوں کے لئے پاکستان کے موجودہ تناظر میں بم دھماکوں اور خودکش حملوں کے شعلوں میں گرفتار ہو کر ایسی بات کرنا محض اندھیرے میں تیر چلانے کے مترادف ہے جو لوگ قدرت کے ان اشاروں کو اہمیت دیتے ہیں انہیں بہرحال یقین ہے کہ پاکستان قیامت تک قائم و دائم رہے گا اور یہ کہ ہم نے بحیثیت قوم ان اشاروں کے تقاضے پورے نہیں کئے لہٰذا موجودہ ابتلاء سے نکلنے کا راستہ توبہ و استغفار میں ہے۔ میں تو ایک ”دنیا دار “ انسان ہوں اس لئے میں قدرت کے بھید کیا سمجھوں اور کیا جانوں؟
بات دور نکل گئی میں یہ عرض کر رہا تھا کہ چونکہ پاکستان 14اور 15/ اگست کی نصف شب قائم ہوا تھا چنانچہ ہمارے پاس یہ چوائس تھی کہ ہم 14یا 15/اگست میں سے کسی ایک دن کو یوم آزادی قرار دے دیں۔ ہندو جوتشیوں نے ہندوستان کیلئے پندرہ اگست کا دن مبارک یا ”شبد“ جانا چنانچہ حکومت ہند نے اسی دن کو اپنا یوم آزادی قرار دے دیا جبکہ پاکستان نے 14/اگست کو اپنا یوم آزادی ڈکلیئر کر دیا۔
قائد اعظم کی دو ہی محبتیں تھیں پہلی محبت رتی ڈنکشا تھی اور دوسری محبت جو منزل بن گئی وہ پاکستان تھی۔ قائد اعظم نے رتی ڈنکشا سے نکاح کرنے سے قبل اسے مولانا شاہ احمد نورانی کے تایا مولانا نذیر صدیقی امام جامع مسجد بمبئی کے ہاتھ پر شرف بہ اسلام کیا اور پھر اس سے شادی کی۔ ان کے بطن سے ان کی اکلوتی اولاد دینا پیدا ہوئی اور حیرت انگیز بات یہ ہے کہ دینا جناح بھی 14اور 15/اگست کی درمیانی شب 1919ء کو پیدا ہوئی اور پاکستان بھی 14اور 15/اگست کی درمیانی شب پیدا ہوا۔ دینا نے بھی 15اگست 1919ء کے دن پہلی بار سورج کی کرنیں دیکھیں اور یہ جمعہ کا دن تھا جبکہ پاکستان نے بھی پندرہ اگست 1947ء کو پہلی بار آزادی کا اجالا دیکھا اور یہ بھی جمعہ کا دن تھا۔
ایک اور حیرت انگیز اور قابل غور پہلو پر غور کیجئے کہ بعض اوقات تاریخی حقائق کے پس پردہ قدرت اپنا ہاتھ دکھاتی اور ہمیں کچھ سمجھاتی ہے لیکن ہم آسانی سے سمجھنے والے نہیں ۔بہرحال آپ ذرا غور کریں اور تھوڑی سی تحقیق کریں تو آپ حیرت زدہ رہ جائیں گے مثلاً یہ کہ قائد اعظم کا انتقال 11ستمبر 1948ء کو ہوا ۔ 1948ء سے لیکر آج تک پاکستان کا یوم آزادی ، قائد اعظم کا یوم ولادت 25دسمبر اور قائد اعظم کا یوم وفات 11ستمبر ایک ہی دن ہوتا ہے اسکی وضاحت کے لئے آپ کو موجودہ سال 2010ء کی مثال دیتا ہوں۔ پاکستان کا یوم آزادی 14/اگست بروز ہفتہ ہو گا، قائد اعظم کا یوم وفات 11ستمبر ہفتہ کا دن ہو گا اور اسی طرح قائد اعظم کا یوم پیدائش 25دسمبر بھی ہفتہ کے دن منایا جائے گا۔ آپ کی سہولت کے لئے اور بات سمجھانے کے لئے گزشتہ چند برسوں کا چارٹ پیش خدمت ہے جس سے یہ نقطہ واضح ہو جائے گا ۔ آپ چاہیں تو جنتری سامنے رکھ کر 1948ء سے لیکر 2010ء تک کا نقشہ تیار کر لیں تو آپ پر راز کھلے گا کہ قائد اعظم اور پاکستان ایک دوسرے کے لئے لازم و ملزوم تھے اور ہر سال قائد اعظم کا یوم پیدائش، یوم وفات اور یوم پاکستان مختلف مہینے ہونے کے باوجود ایک ہی دن ہوتا ہے ۔اگر قدرت قائد اعظم کا یوم وفات بارہ ستمبر 1948طے کر دیتی تو یہ نقشہ نہ بن سکتا اور وہ یوم مختلف ہو جاتا ۔ میں نے صرف اپنی بات کی وضاحت کے لئے چند برسوں کا نقشہ بنایا ہے جو درج ذیل ہے۔
مجھے پاکستانیات کا یہ پہلو نہایت دلچسپ اور حیرت انگیز لگا چنانچہ میں نے اسے آپ کی خدمت میں پیش کر دیا۔ میرے مطالعے کے مطابق آپ کو عالمی تاریخ میں اس طرح کی مثالیں شاید ہی ملیں۔ بہرحال آپ اسے محض حسن اتفاق کہیں یا تاریخ کا حادثہ سمجھیں یا اس کے پس پردہ قدرت کی رمزیں تلاش کریں۔
یہ آپکی مرضی …!!

Friday, January 28, 2011

Thursday, January 27, 2011

Isi Se Hota Hai Zahir jo Haal Dard Ka Hai Sabhi Ko Koi Na Koi Wabaal Dard Ka Hai

Isi Se Hota Hai Zahir jo Haal Dard Ka Hai
Sabhi Ko Koi Na Koi Wabaal Dard Ka Hai

Seher Sissaktay Huay Aasmaan Se Utreee To
Dil Ne Jaan Lia Yeh Bhi Saal Dard Ka Hai

Ab Is K Baad Koi Rabta Nahin Rakhna
Yeh Baat Taey Hui Lekin Sawal Dard Ka Hai

Yeh Dil ,Yeh Ujree Hui Chasham-e-Num,Yeh Tanhayee
Humaray Pass To Jo Bhi Hai Maal Dard Ka Hai

Yeh Jhaank Laiti Hai Jo Doosray Dil Main
Meri Nigah Main Yeh Sara Kamal Dard Ka Hai

Hum Us Ko Dekhtay Jatay Hain ,Rotay Jatay Hain
Yeh Sehen-e-Shab Main Para Hai Jo Thaal Dard Ka Hai

Wahein Kahein Kisi Ghatee Main Tera Hijur Bhi Hai
Meray Lahoo Se Jahan Ittisaal Dard Ka Hai

Nafs , Nafs Pe Paray Aabloon Se Lagta Hai
Na Janay Rooh Main Kab Se Ubaal Dard Ka Hai

Kisi Nay Poocha K Bohat Haseen Ho Tum
To Muskura K Kaha Sab Jamal Dard Ka Hai….!!!

Na Ki Awaaz Tak Kuch Bhi K Koi Jag Na Jaye....!

Bas Ek Jhagrray Ka Lamha Tha...
Dar-O-Deewaar Par Aisay Channakay Se Giri Awaaz
Jaisay Kaanch Girta Hai......
Har ek Shai Main Gai Urrti Howi
Jalti Howi Kirrchaain
Nazar Main
Baat main
Lehjay Main
Soch Main
Aur Saans K Andar

Lahu Hona Tha
ek Rishtay Ka...... So Wo Ho Gaya Us Din...!!
Usi Awaaz K Tukkrray
Utha K Farsh Se Us Shab
Kisi Ne Kaat Li Nabzaain
Na Ki Awaaz Tak Kuch Bhi
K Koi Jag Na Jaye....!

Meri Zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeeN sahi

Meri Zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeeN sahi
Wo nigaah-E-shauq se door haiN, rag-E-jaaN se laakh QareeN sahi

HamaiN jaan deni hai aik din, wo kisi tarah wo kaheeN sahi
HamaiN aap khainchiye daar par, jo nahiN koi to hameeN sahi

Sar-E-toor ho, sar-E-hashr ho, hamain intezaar qabool hai
Wo kabhi mileN,wo kahin mileN,wo kabhi sahi, wo kaheeN sahi

Na ho un pe kuchh mera bass nahiN, ke ye aashqi hai hawas nahiN
MaiN unhi ka tha, main unhi ka huN, wo mere nahiN, to nahiN sahi

Mujhe bhaiThne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman meN agar nahiN, teri anjuman ke qareeN sahi

Tera dar to hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameeN sahi
HamaiN sajda karne se kaam hai, jo wahaN nahiN to yaheeN sahi

Meri Zindagi ka naseeb hai, nahiN door mujh se qareeb hai
Mujhe uska Gham to naseeb hai, wo agar nahiN to naheeN sahi

Jo ho faislaa woh sunaaiye, usay hashr par na uthaaiye
Jo karaiNge aap sitam wahaN, wo abhi sahi, wo yaheeN sahi

UnheN dekhne ki jo lou lagi, to dekh hi laiNge hum
Wo hazaar aaNkh se door hoN, wo hazaar pardah nasheeN sahi...!!!

aap aur ham sabhi kay aangan mein shama jalti rahay to behtar hay


Khon apna ho ya paraya ho
nasl-e aadam ka khon hay aakhir
jang mashriq mein ho kay magrib mein
amn-e aalam ka khon hay aakhir

bam gharon par girein kay sarhad par
roh-e taameer zakhm khati hay
khait apnay jalein kay auroon kay
zeast faqoon say tilmilati hay

tenk aagay bharein kay peechay hatein
kokh dharti ki banjh hoti hay
fatah ka jashn ho kay har ka sog
zindagi mayyaton par roti hay

jang to khoud hi aik masla hay
jang kiya masaalon ka hal day gi
aag aur khon aaj bakhshay gi
bhok aur ihtiaj kal day gi

is leeay aay sharif insano
jang talti rahay to behtar hay
aap aur ham sabhi kay aangan mein
shama jalti rahay to behtar hay

Abhi Soty raho bhai


Usay apnai zaat ki fiker thi wo jo maira wakif-e-haal tha

Usay apnai zaat ki fiker thi
wo jo maira wakif-e-haal tha
wohi uski subh -o- urooj thi
wohi maira waqt -e- zawaall tha
mairay dard jaisay wo janta
...mairi baat kaisay wo manta
woh tou khud fana k safar main tha
usay rokna bhi muhaal tha
kahan jao gay mujhay choor kar
main ye poch pooch k thuk gayi
woh jawab mujh ko na dey saka
woh tou aap sarapa-e-sawal tha
dam e wapsi aray kya hoa
na woh roshni na woh taazgi
woh sitara kaisay bikher gya
woh tou aap apni misaal tha
woh mujh say lag k roo diya
aur sirf itna hi keh saka
jisay janta tha main zindagi
woh to maira weham -o- khayal tha
woh milla tou barsoon k baad bhi
mairay lub pay koi gilla na tha
usay mairi chup nay rulla diya
jisay guftagoo main kamal tha .........

Tuesday, January 25, 2011

مجھ کو جو مزا لذتِ گفتار سے آیا

اقرار سے آیا ہے نہ انکار سے آیا
مجھ کو جو مزا لذتِ گفتار سے آیا

ہر چند تھا وہ سارے زمانے سے گریزاں
پر میری طرف تیر کی رفتار سے آیا
...
کس واسطے سمجھوں میں اسے جان کا دشمن
جو شخص مرے پاس بڑے پیار سے آیا

میں بن پیے مخمور تھا کچھ اس کی نظر سے
کچھ اور نشہ زلف سے، رخسار سے آیا

حق بات کہوں برسراحباب و رقیباں
یہ حوصلہ مجھ میں مرے کردار سے آیا

Liya tha Ek Waada tumne mujse....

Liya tha Ek Waada tumne mujse....

Hamesha khush hi rehna hai...

To dekho, dekh lo aa kar..

Meri ankhon ko dekho tum,

Yeh kitni shokh lagti hain...

Mere honton ko dekho tum,

Hamesha muskuraty hain...

Koi b ghum agar aye,

Usay hans kar saha main ne...

Mere chehray ko dekho tum,

Hamesha pur sakoon ho ga...

Tou socho gay.....

Kia tha maiin ne jo tumse,

Wo wada ker diya poora...!!!

MAGAR

Ek baat hai ...

Kabhi jo waqat mil jaye,

To meri shairi parhna...

Tumhain mehsoos to hoga,

Kaheen talkhi bhara jumla....

Kaheen yeh sard sa lehja,

Kaheen par dard ki jheelain...

Kahin lehjay ki karwahat,

Suno....!!!

Main khush to hoon lakin,

Lahoo har lafz roota hai...!!!

A Beautiful Ghazal of Mohsin Sahib......

Phir Kisi Yaad Ne Raat Bhar Hai Jagaya Mujh Ko
Kia Saza Di Hai Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram HAi Na Raaton Ko Hai Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Se Qudrat Ne Banaya Mujh Ko
...
Dukh To Ye Hai K Zamany Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hai Vo Mila Ban K Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kaandha Mere Rony Ko
Ghar Ki Diwaroon Ne Seeny Se Lagaya Mujh Ko

Ab to Umeed-e-Wafa Un Se Nhi Hai Koi MOHSIN
Phir Chiragoon Ki Tarhan Kis Ne Jalaya Mujh Ko......!!

میرے قدموں پہ میرا سر ہے کئی صدیوں سے

میرے قدموں پہ میرا سر ہے کئی صدیوں سے
کیسا مفتوح سا منظر ہے کئی صدیوں سے

خوف رہتا ہے نہ سیلاب کہیں لے جائے
میری پلکوں پہ تیرا گھر ہے کئی صدیوں سے

اشک آنکھوں میں سلگتے ہوئے سوجاتے ہیں
یہ میری آنکھ جو بنجر ہے کئی صدیوں سے

کون کہتا ہے ملاقات میری آج کی ہے
تو میری روح کے اندر ہے کئی صدیوں سے

میں نے جس کے لیے ہر شخص کو ناراض کیا
روٹھ جائے نہ یہی ڈر ہے کئی صدیوں سے

اس کی عادت ہے جڑیں کاٹتے رہنے کی وصی
جو میری ذات کا محور ہے کئی صدیوں سے

Tumhien ek bar phir se woh

Tumhien ek bar phir se woh

Mohabbat na milay shayad

Jo tum se rooth bethi hai

Tumhari kam-naseebi hai



Yeh kis ne keh diya tum se

K ab kuch bhi nahin baaqi

Ye batain sach nahee'n jana'n

K ab kuch bhi naheen baqi

Abhi umeed baqi hai......



K beshak is qayamat main

Buhuat se khuwab tootey hain

Magar ankhain salamat hain

Bohat se saath chutaey hain

Magar saansain salamat hain



Chalo phir faisla kar lain

K in veeran ankhon main

Naye kuch khwab rakh dain gey

Mohabbat k haseen jazbey se

dil phir shaad kardian gey



Hum is tareek shab se phir nayi subhain nikalain ge

Hum is malbey ke neechey se hayat-e-nou nikalain gey

Naye imkaan tarashain gey



Khuda ke fazl se kuch bhi to na mumkin nahin hota

Ke ab dushwar raahon main koi tanha nahin hota

To phir kis ne kaha tum se

Ke ab kuch bhi nahin baqi



Abhi hai hosla zinda, abhi umeed baqi hai…….!!!

Monday, January 24, 2011

Dil Ki Lagi Kuch Aur Bhi Dil Ko Deewana Kare

Dil Ki Lagi Kuch Aur Bhi Dil Ko Deewana Kare
Meri Iltaja Hai Khuda Se Duwa Hai
Do Dil Juda Na Kare
Dil Ki Lagi…!!

Deewane Chup Kaise Rahe?
Aao Duniya Se Yeh Kahe
Jinhe Hum Se Milne Gawara Nahin Hai
Hum Se Mila Naa Kare

Baanhain Le Ker Baahon Mein Hum
Likhte Jayain Raahon Mein Hum
Wo Dil Hi Nahi Hai Ji Naam-E-Mohabbat
Naam-E-Wafa Naa Kare

Dil Ki Lagi Kuch Aur Bhi Dil Ko Deewana Kare
Meri Iltaja Hai Khuda Se Duwa Hai
Do Dil Juda Naa Kare

Dil Ki Lagi.. !!

Saturday, January 22, 2011

Tum se baat karna tab aadat thi,

Tum se baat karna tab aadat thi,
Nahi tha pata ki yeh chahat ban jayenga,
Hajaaron rang hai zamane mein,
Tere saath se mile woh rang ab zindagi ban jayenge,
Naa samjhna ki hum tumhe bhoola payenge,
Lekin tumhare raste mein bhi kabhi nahi aayenge,
Tumse naraj hona jindagi se naraj hone ke barabar hai,
Nahi mile toh samjh lena ki
Agli baar khuda se hi tumhe maang laayenge.

Wednesday, January 19, 2011

Bhale DinoN ki baat hai

Bhale DinoN ki baat hai

Bhali see aik shakl thi

Naa yeh ky husn-e-taam ho

Naa dekhne mein 'Aam see



Naa yeh ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy

magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage



koi bhi rut ho us ki chchab

fiza ka rang-o-roop thi

woh garmiyon ki chchaaon thi

woh sardiyon ki Dhoop thi



na muddatoN judaa rahe

na saath subh-o-shaam ho

na rishta-e-wafa pe zid

na ye ki izn-e-'Aam ho



na aisi Khush libasiyaan

ki saadgi gila kare

na itni be takallufi

ki aaina haya kare



na ikhtilaat mein woh ram

ki bad-mazah hon Khwahishen

na is qadar supurdigi

ki zach karen nawazishen



na aashiqi junoon ki

ki zindagi 'azaab ho

na is qadar kaThor pan

ki dosti Kharaab ho



kabhi to baat bhi Khafi

kabhi sukoot bhi suKhan

kabhi to kasht-e-z'afraan

kabhi udaasiyoN ka ban



suna hai aik 'umr hai

mu'Amilaat-e-dil ki bhi

visaal-e-jaanfiza to kya

firaaq-e-jaangusal ki bhi



so aik roz kya hua

wafa pe bahas cherr gayi

main ishq ko amar kahoon

woh meri zid se chidh gayi



main ishq ka aseer tha

woh ishq ko qafas kahe

ki umr bhar ke saath ko

woh bad-taraz-hawas kahe



"shajar hajr nahin ki ham

hamesh pa ba gul rahen

na Dhor hain ki rassiyaan

gale main mustaqil rahain



mohabbatoN ki vus'Atain

hamare dst-o-pa mein hain

bas aik dar se nisbatein

sagaan-e-bawafa mein hain



main koi painting nahi

ki aik frame meiN rahoon

wahi jo man ka meet ho

usi ke praim meiN rahoon



tumhari soch jo bhi ho

main is mizaaj ki nahin

mujhe wafa se bair hai

ye baat aaj ki nahin"



na us ko mujh pe maan tha

na mujh ko us pe za'Am hi

jo 'ahad hi koi na hoi

to kya gham-e-shakistagi



so apna apna raasta

hansi Khushi badal diya

woh apni raah chal padi

main apni raah chal diya



bhali si aik shakl thi

bhali si us ki doosti

ab us ki yaad raat din

nahin, magar "kabhi kabhi"

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.


----------------------------------
Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......


----------------------------------
Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz....
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....


----------------------------------
"Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...


----------------------------------
'"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga...'".

----------------------------------
"Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

----------------------------------
Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,...
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta......
-


---------------------------------
Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
----------------------------------
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!
-
---------------------------------
Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
-
---------------------------------
Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
-
---------------------------------
Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!
----------------------------------
Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii
main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe
main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe
ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa

hum un say millay to khuch keh na sakay "faraz"

hum un say millay to khuch keh na sakay
"faraz"
khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai

Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz

Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..

Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"

Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"
Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa

ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunate ho us tan-man ka jo do-nim huaa

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadir huaa
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir hua

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam huee
us miTTi kaa jis kii hurmat mansub uduu ke naam hue

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhi nahii.n

us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa
us phuul kaa jo beqimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajha

un maasumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n
yaa un mazalumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n
aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n

yaa un JhuuTe iqararo.n kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishanaa hue

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye
is jashn me.n bhii shamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye

suna hy

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain
Bewaqoof Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 225 Post: 3582 Age: 36

Posted on:25th Aug 2009, 9:26am

Best Romantic Poetry Of Ahmed Faraz

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

Funny Poetry Of Ahmed Faraz

Kitni dair hui koi sawal nahi ata
Sawal hum puchein to jawab nahi ata
Ye Sala bathroom me kon baitha hai
Itna lamba toh FARAZ ko b nahi ata

Poetry of Ahmed Faraz In English

Hum bHi shaa'ir tHey kabHi...

English translation by: Guddu Nazli

I too was a poet once O life of my words, but I cannot remember
Since I have forgotten you the love of my art too, I cannot remember

Yesterday during a coversation with my heart I learnt
that any forelock, lips, any mouth, I cannot rememeber

In the city of intellect insanity is quiet as if
the very spontainety the rabid fluidity of his speech, he cannot rememebr

Firstly I was not familiar with the mannerisms required for ruins
Now the ways and traditions of the residents of gardens, I cannot remember

Everyone asks for the shop selling arrows and quiver
but his own body, any customer cannot remember

Time has brought me to such a desert of forgetfulness
Now your name even, may I perish, I cannot remember

Is this not enough that in the state of being without country
the abandonment of my fellow countrymen I cannot remember

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

Hum jo toote to is tarah toote

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

baarish ke baad

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad

Malal

Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun


nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun


sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun


sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun


mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun


tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun


main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun


tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

Jitna tum ko chaaha tha hum ne Utnaa kisi ko chaah na sake

Jitna tum ko chaaha tha hum ne
Utnaa kisi ko chaah na sake

Socha tha bhool jayenge kabhi na kabhi
Lekin najaane kyon bhulaa na sake

Hoton ne to chupa liya armaan dil ki...
Lekin ankhon se wo sabkuchh chupa na sake...

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun
dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun
meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun
aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaunret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun
merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne
beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun
dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n
dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun
niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun

ab jo ik hasrat-e-jawani hai umr-e-rafta ki ye nishani hai

ab jo ik hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki ye nishani hai

khak thi maujzan jahan mein, aur
ham ko dhoka ye tha k pani hai

giriya har waqt ka nahin behech
dil mein koi gam-e-nihani hai

ham qafas zad qaidi hain warna
ta chaman parfashani hai

yan huye 'Mir' ham barabar-e-khak
wan wahi naz-o-sargirani hai

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dete

Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
***********************************
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen

Tum Meri Ankh Ka Tewar Na Bhula Paoge
***********************************

tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga


ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga


isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga


sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga


ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga


shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga


aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga


hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga


is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

kash main tere hasin hath ka kangan hota

kash main tere hasin hath ka kangan hota
************************************

tu bare pyar se bare chao se bare arman k sath
apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
jab kabhi mud mein a kar mujhe chuma karti
tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata


rat ko jab bhi tu nindon k safar par jati
marmari hath ka ik takya banaya karti
main tere kan se lag kar kai baten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husn se khera karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh k gulshan mein mahakta rahta
main tere jism k angan mein khanakta rahta
kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota


kash main tere hasin hath ka kangan hota

bahaar-e-khwaab ke naa muntazir rahaa kiije.

bahaar-e-khwaab ke naa muntazir rahaa kiije.
khizaan ko maan ke kaaboos ab sahaa kiije.
yahan se kaise bataayen ke kya hai gaehraa'i
agar naa doobnaa chahen to phir bahaa kiije.
khafaa khafaa hi sahi saath saath chalte ho
kabhi kabhi to hamen hamsafar kahaa kiije.
khafaa khafaa hi sahi saath saath chalte ho
kabhi kabhi to hamen hamsafar kahaa kiije.
chalo yeh samjhe, tabaah Naz kiiya ham ko
magar yeh kisne kahaa tha ke baar ha kiije.

vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayega

aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa


itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa


tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa


zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa


duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa


zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Dard ko bhi ab dard hone laga hai

Dard ko bhi ab dard hone laga hai
dard khud hi ghav bharne laga hai
dard ke mare hum na roye kabhi
dard khud hume chukar rone laga hai..

Ku-ba-ku phail gaii baat shanasaii ki

Ku-ba-ku phail gaii baat shanasaii ki
Us ne Khushbu ki tarah meri paziraii ki

Kaise kah duun ke mujhe chhod diya hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai rusvaii ki

Vo kahiin bhi gayaa lauta to mere paas aaya
Bas yahii baat hai achchhi mere harjaii ki

Tera pahlu tere dil ki tarah aabaad rahe
Tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaii ki

Us ne jaltii huii peshanii pe jo haath rakha
Ruh tak aa gaii tasiir masihaii ki

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai

Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai

Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai

Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai

Yahi woh din the jab ek dosre ko paya tha
Hamari salgirah theek ab ke maah mein hai

Mein bach bhi jaoon toh tanhayi maar daalegi
Mera qabila ka har fard, Qatl gaah mein hai.....

Vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa

Vo to Khushbuu hai havaaon men bikhar jaayegaa
maslaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaaN meen utar jaayegaa

vo havaaon kii tarah Khanaabajaa phirtaa hai
ek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aaNgan men Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahiin ret pe baithey hogii
teraa yeh pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

teri chahat ke bheege junglon mein

khuli aankh mein sapna jhaankta hai
wo soya hai ke kuch kuch jaagta hai

teri chahat ke bheege junglon mein
mera tan, more ban kar naachta hai

mujhe har kaifiyat mein kyun na samjhe
wo mere sab hawale jaanta hai

main uski dastaras mein hon, magar wo
mujhe meri raza se maangta hai

kisi ke dhyaan mein dooba hua dil
bahane se mujhe bhi taalta hai

sarak ko chore kar chalna parega
ke mere ghar ka kaccha raasta ha.

وہ آئے تو مجھے اب بھی ہرا بھا دیکھے

اُسی طرح سے ہر اِک زخم خوشنما دیکھے
وہ آئے تو مجھے اب بھی ہرا بھا دیکھے

گزر گئے ہیں بہت دن رفاقتِ شب میں
اب عُمر ہوگئی چہرہ وہ چاند سا دیکھے

رے سکوت سے جس کو گِلے رہے کیا کیا
بچھڑتے وقت ان آنکھوں کا بولنا دیکھے

بس ایک ریت کا ذّرہ بچا تھا آنکھوں میں
ابھی تلک جو مسافر کا راستہ دیکھے

تیرے سوا بھی کئی رنگ خوش نظر تھے
جو تجھ کو دیکھ چکا ہو وہ اور کیا دیکھے

اُسی سے پوچھے کوئی دشت کی رفاقت جو
جب آنکھ کھولے، پہاڑوں کا سلسلہ دیکھے

تجھے عزیز تھا اور میں نے اُسے جیت لیا
مری طرف بھی تو اِک پل ترا خدا دیکھے

کسی دن میرے گھر آؤ

کسی دن میرے گھر آؤ
میرے کمرے میں بیٹھو
اور ہر ایک شے کو دیکھو
بُک شیلف میں پڑی ہوئی
کتابیں اور ڈائریاں
میز پر رکھی ہوئی تصویریں
اور گُلدان میں مرجھائے ہوئے پُھول
تمہیں بتائیں گے
دراز میں موجود کیسٹ
دیواروں پر لگے کارڈز
تُم پر عیاں کریں گے
کہ کیسے میرے ارمانوں نے تیرے خواب دیکھے تھے
اگر ہو سکے تو کسی دن میرے گھر آؤ
دیواروں پر کُھدے ہو حرف
اور بستر پر نقشِ بے قراری تم پر عیاں کریں گی
کہ میری آرزؤں نے کس طرح تمہاری آرزو کی ہے
اور کیسے میرے خوابوں نے تمہارے خواب دیکھے ہیں
اگر ہو سکے تو کسی دن میرے گھر آؤ

Tum itanaa jo muskuraa rahe ho, Kya Gham hai jis ko chupa rahe ho

Tum itanaa jo muskuraa rahe ho
Kya Gham hai jis ko chupa rahe ho

Aankhon main namii hansii labon par
Kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho

Ban jaayeinge zahar peete peete
Ye ashk jo piite jaa rahe ho

Jin zakhmon ko vaqt bhar chalaa hai
Tum kyon unhein chhedre jaa rahe ho

Rekhaaon kaa khel hai muqaddar
Rekhaaon se maat khaa rahe ho

meri tarhan se koi hai jo zindagi apni

dhanak dhanak meri poro.n ke khaab kar daiga

wo lams mere badan ko gulaab kar daiga



qabaae.n jism ke har taar se guzarta hua

kiran ka piyaar mujhay aaftaab kar daiga



main such kahungi magar phir bhi haar jaungi

wo jhoot bolega aur lajawaab kar daiga



ana parst hai itna ke baat se pehle

wo uth ke band meri har kitaab kar daiga



usi tarhan se agar chahta raha paiham

sukhan war mai mujhay intekhaab kar daiga



meri tarhan se koi hai jo zindagi apni

tumhari yaad ke naam intesaab kar daiga

Jeene k lie socha hi nahi dard sambhalne honghe

Tujhse naraz nahi zindagi heran hoon main
Tere masoom sawalon se pareshan ho main
Jeene k lie socha hi nahi dard sambhalne honghe
Muskarao to muskurane k karz utarne honghe
Muskarao kabhi to lagta hia jese honto pe karz rakha hai
Tujhse naraz nahi zindagi heran hoon main
Tere masoom sawalon se pareshan ho main
Zindagi tere ghum ne hume rishte nae samjae
Mile jo hume dhoop main mile chaon k thande sae
Tujhse naraz nahi zindagi heran hoon main
Tere masoom sawalon se pareshan ho main
Ajj agher bhar ae hain boonde baras jaenghi
Kal kia pata kin k lie ankhe taras jaenghi
Jane kab gum hua kahan khoa ik ansoo chupa k rakha tha
Tujhse naraz nahi zindagi heran hoon main
Tere masoom sawalon se pareshan ho main..

Monday, January 17, 2011

Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge

Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge
Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge
Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge

(Faiz had written this upon the death of his brother.)

mujh ko shikwa hai meray bhai keh tum jaate hooay
le gaye sath meri umr-e ghuzishta ki kitaab
is mein tau meri bohut kimati tusweerien thein
is mein buchpun tha mera, aur mera aihd-e shabab
is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate
apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab
kya karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon
mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal
aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab
aa ke le ja’o tum apna yeh damukta hua phool
mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
(Faiz had written this upon the death of his brother.)

Du’aa (Prayer) — A nazm for Pakistan’s Independence Day, 1967

aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du’aa yaad nahin
hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahin
aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee
zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de
jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de
jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin
un nazroon peh koi raah ujagar ker de
jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko
himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile
ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqrar karein aur tapish mit jaa’e
hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN
aaj izhar karein aur khalish mit jaa’e

Adhoori si hai zindagi, adhoore hien hum..

Adhoori si hai zindagi, adhoore hien hum..
Bujh rahi hein saanse jal rahe hein hum..
Badalte mosamo ne seekhaya hai bohot kuch lekin..
Pane ki hasrat mein sab kuch kho rahe hein hum,
Na maloom manzilon par qadam ruk se gaye hein..
Berh mein rasron ki taraf barh rahe hein hum..
Toot kar bikhre hein khaab kuch is tarah..
Ke aik arsa hua hai un ko chun rahe hein hum.

Kisi ko mil jaye wafa naseebon ki baat hai,

Kisi ko mil jaye wafa naseebon ki baat hai,
Koi rota hai sada naseebon ki baat hai,
Kisi ko chahna khud se bhar kar,
Na ban sake woh apna naseebon ki baat hai,
Koi kisi ki yaad mein roya kare bohot,
Koi kare na parwah naseebon ki baat hai,
Apni jaan bhi waar deta hai kisi per koi,
Phir bhe rahe koi khafa naseebon ki baat hai,
…Kisi ko mil jayein khushiyan hazar,
Koi dhoondta rahe muskan naseebon ki baat hai,
Koi mil jaye kisi ko bin maangy he,
Koi umer bhar karta hai talaash naseebon ki baat hai..

Mohabbat Har Insaan Ko Azmati Hai

Mohabbat Har Insaan Ko Azmati Hai
Kisi Se Rooth Jati Hai Or Kisi pe Muskurati Hai
Mohabbat Khel Hi Aisa Hai,
Kisika Kuch N Jata Or Kisi ki Jaan Chali Jati Hai!!
Aadat Hai Teri Yaad Ane Ki.
En Aankho ko Teri Ek Zalak Pane Ki,
Hamari To Tamanna Hai Apko Pane Ki
Par Shayad Aapki Aadat Hai Hame Tadpane Ki!!
Teri Yaado Me Jiye…nge Marenge
tujhe Apni Palkon Me Chuppa Lenge
Uss Chand Se Hume Kya Lena Hum to Is
Dharti Ke Chand Ko Seene Se Laga Lenge!!
Kya Hai Dil Ki Haalat Bataana Nahi Aata,
Kisi Ko Aise Tadpana Nahi Aata,
Sunna Chahte Hai ek Baar Fir Aawaz Uski,
Magar Baat Karne Ka Bahaana Bhi Nahi Aata!!
Zara Si Roshni Mujh Ko Achhi Lagi,
Mujhe Aap ke Ek Lamhe Ki Hansi Achi Lagi,
Aap Se Baat Ki Jo Ek Roz,
Us Hi Din Se Mujhe Aapni Zindagi Achhi Lagi!!
Dil-E-Aarzoo Ne Dewana Bana Diya
roye The Na Kabhi Par Tune Rula Diya
tujhe Meri Yaad Na Aayi Bhule Se Kabhi
Hamne Teri Yaad Me Zamana Bhula Diya!!

Yeh Zindagi Jab Bewafaa Hai

Yeh Zindagi Jab Bewafaa Hai,
Tujh Se Shikwaa Kyun Karoon,
Yeh Chot Sahil Par Lagi Hai,
Guftgoo Lehron Se Kyun Karoon,
Khwaab Ki Maanind Bikhari Har Khushi,
Shikayat Sapnon Se Kyun Karoon,
Dariya Bhi Dard Ke Rukte Nahin,
Ab Tere Pehlu Mein Aa Ke Kya Karoon,
Toot Ke Bikhari Saawan Mein Chahat,
Kismat Ke Fariston Se Mohabbat Kyun …
Karoon,Bedili Jo Do Thookraa Naa Doo,
Zindagi Ke Jhoote Falsafey,
Ab Bata Eh Bewafaa Iss Waqt Mein Kya Karoon.

Dil Me Har Raaz Daba K Rakhte Hain,

Dil Me Har Raaz Daba K Rakhte Hain,
Honto Pay Muskan Saja K Rakhtey Hain,
Ye Duniya Sirf Khushi Main Saath Deti Hay,
Is Liye Hum Apne Aanso Chupa K Rakhte Hain…

Meri Zindagi Ki Khushiyaan Tum Sey Hain Wabasta

Meri Zindagi Ki Khushiyaan Tum Sey Hain Wabasta
Rub Sey Sirf Tumhin HI Mangna Acha Lagta Hai,
Hamarey Darmiyaan Chal Rahi Sadiyoon Sey Ki KhamooshiyaaN
Kuch Is Tarah Guftago Krna Acha Lagta Hai,
Tumhare Beghair Zindagi Ka Koi Tasawur Nahin Hai
Kuch Is Tarah Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hai,

Toot Ker Bikherey Tou Yeh Ehsaas Hua..

Toot Ker Bikherey Tou Yeh Ehsaas Hua..
Har Ek Shakhs Se Mukhlis Hua Nahi Kertey..
Yahan Masoom Chehrey Loot Letey Hein…
Har Ek Pe Aitbaar Kiya Nahi Kertey…
Koi Aur Bhi Muntazir Hai Tera…..
Ek Shakhs Ki Talab Kiya Nahi Kertey……
Pal Bher Mein Badal Jatay Hein Loug Yahan ‘Faraz’……
Aesey Lougon Se Muhabbat Kiya Nahi Kertey…… !!”

Main bikhr k phir na simat saka.

“AJEEB THA” Kabi tarap utha mri aah se
Kabi ashk se na pighal saka
Sar-e-rah mila wo agr kabi
To nazr chura k guzr gia
Wo uter gia mri ankh se
Mry dil se kiu na uter saka
Wo chala gia jaha chor k
Main waha se phir na palat saka
Wo sambhl gia tha faraz mgr
Main bikhr k phir na simat saka.

Gir ke phir sambhalne mein der kitni lagti hai…

Woh hamrai chahat tha,
Yeh bhi ek haqiqat hai,
Waqt ko badalne mein der kitni lagti hai,
Zindagi ki rahoon mein hadse toh hote hai,
Gir ke phir sambhalne mein der kitni lagti hai…
“Aao Kisi Shab Mujhe Toot K Bikhrta Dekho”,
“Meri Ragon Mein Zehar Judai Ka Uterta Dekho.
Kis Kis Ada Se Tujhe Maanga Hai RAB Se,
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mein Sisakta DekHo.
Teri Talaash Mein Hum Ne Khud Ko Kho Dia Hai,
Mat Aao Saamne Mgar Kahin Chup K Mujhe Tarapta Dekho.
Barey Shoq Se Mer Jaein Gey Hum Agar,
Tum Saamne Baith Kr Saans Ka Tasalsul Toot’ta Dekho.!.

پروگریس رپورٹ بھیجو

شجاع جو یونیورسٹی سے اچانک غائب ہوگیا تھا کل اس سے پچیس برس بعد ملاقات ہوئی۔ اس نے بتایا کہ وہ امریکہ چلا گیا تھا۔ وہاں پیپر میرج کی، ڈپارٹمنٹل سٹورز اور گیس سٹیشنوں پر کام کیا اور پچھلے دس برس سے ایل اے میں ایک ادارے کے سات وابستہ ہے جو ہالی وڈ کے ستاروں اور انہیں ستارہ بنانے والوں کو سیکورٹی فراہم کرتا ۔
میں نے کہا گھر چلو باقی گفتگو وہیں کرنا۔ شجاع کو ہر ٹریفک سگنل پر بھکاری بچے، پھول فروخت کرنے والی بچیوں اور اخبار فروش لڑکوں کو دیکھ کر اتنی ہی حیرت ہوئی جتنی حیرت کی میں کسی بھی بیس پچیس برس بعد وطن آنے والے پاکستانی سے توقع کرتا ہوں۔
‘یار یہاں تو لوگ پہلے سے بھی زیادہ بھیک مانگ رہے ہیں۔ یار یہ کتنی پیاری بچی ہے اور کوئی اس کے پاؤں میں جوتی پہنانے والا نہیں ہے۔ یار سِول سوسائٹی اتنی بے حس کیوں ہے۔ یار حکومت کو یہ بچے کیوں دکھائی نہیں دیتے۔ یار این جی اوز کہاں مرگئی ہیں۔۔۔’


ایک ٹریفک سگنل پر اچانک شجاع چیخا، گاڑی سائڈ پر لگاؤ۔ میں نے کہا کیوں۔ وہ وہ کتنا معصوم بچہ ہے جو اخبار بیچ رہا ہے، میں اس کی مدد کرنا چاہتا ہوں۔ میں نے کسی بھی طرح کی حیرت ظاہر کیے بغیر گاڑی سائڈ پر روک لی۔ شجاع نے اشارے سے بچے کو بلایا۔ بچہ کئی گاڑیاں پھلانگتا تقریباً دوڑتا ہوا آیا۔ تم کیا کرتے ہو بچے؟ جی میں یہیں اخبار بیچتا ہوں۔ سکول کیوں نہیں جاتے؟ جی باپ نہیں ہے، ماں اور بہن بھائیوں کا بوجھ سر پر ہے۔ اگر میں تمہیں ہر مہینے سکول کی فیس اور گھر کے لیے کچھ پیسے باقاعدگی سے دوں تو پھر سکول جاؤ گے؟ کیوں نہیں بابو جی، اللہ آپ کو اس کا اجر دے گا۔ لیکن تمہیں کچھ وعدے کرنے پڑیں گے۔ وہ کیا بابوجی؟ ایک تو تم مجھے اپنے گھر والوں سے ملواؤ گے، میں خود تمہارے گھر کی حالت دیکھنا چاہتا ہوں۔ دوسرا تمہارا ایک بینک اکاؤنٹ کھلواؤں گا جس میں تمہارے لیے پیسے بھیج سکوں۔ تیسرا یہ کہ تم ہر مہینے اپنے سکول کی پروگریس رپورٹ بھیجو گے اور اگر مجھے پروگریس رپورٹ نہیں ملی تو اگلے مہینے سے پیسے بند، کیا سمجھے؟ بچے نے ایک جمائی لیتے ہوئے کہا بابو جی ایک بات پوچھوں؟ پوچھو کیا پوچھنا ہے؟
آپ کیری لوگر ہیں نا؟

سافٹ ویر پائریسی، حلال یاحرام

دنیا کے بیشتر ترقی یافتہ ممالک میں سافٹ ویر کی تیاری باقاعدہ ایک صنعت یا کاروبار بن چکی ہے، اکثر ممالک کی حکومتوں نے سافٹ ویر تیار کرنے والے اور استعمال کرنے والوں کے متعلق قوانین بھی وضع کیے ہوے ہیں۔ نیز سافٹ ویر کا بنا اجازت استعمال اور بنا خریداری کے استعمال، یا ایک بار خرید کر سافٹ ویر کے کئی نسخے بنا کر اپنے احباب کو دینا یا بیچنا جرم تصور کیا جاتا ہے اور اس پر سزا اور جرمانہ بھی ہو سکتا ہے، جسے سافٹ ویر پائریسی بھی کہا جاتاہے۔
سافٹ ویر تیار کرنا ایک محنت طلب کام ہے جس پر وقت صرف کرنا پڑتا ہے، اگر کوئی شخص سافٹ ویر تیا کرے اور اپنے تیار کئے ہوے سافٹ ویر کو بیچے، یا کوئی ادارہ ایسا کرے تو اسلامی احکامات کے مطابق یہ جائز ہے، یہ میرا خیال ہے لیکن اس کی تصدیق کسی بھی عالم دین سے کی جا سکتی ہے، اس بات میں اتنا ابہام نہیں ہے، کیوں کہ ایک شخص محنت کر روزی کما رہا ہے، سافٹ ویر بنانا ایک ہنر ہے اور یہ ہنر سیکھنا بھی پڑتا ہے، جیسے مکان تعمیر کرنا، قالین بنانا، لوہے کی مصنوعات تیار کرنا ہنر میں شمار کیے جاتے ہیں۔
بیشتر ترقی پذیرممالک بشمول پاکستان، سعودی عرب، بنگلہ دیش وغیرہ میں سافٹ ویر پائریسی عام ہے۔ پائریٹیڈ سافٹ ویر استعمال کرنے والوں میں تمام افراد شامل ہیں، جن میں ایک اسلامی مدرسے کا طالبعلم بھی شامل ہے اسکا استاد بھی ، ایک ڈاکٹر بھی، دکاندار بھی،  دنیاوی علوم حاصل کرنے والے طلبا بھی، اکثر لوگ ایسے ہیں جو سافٹ ویر کی قیمت دے کر خریدنے کی بھی اسطاعت رکھتے ہیں پھر بھی وہ پائریٹید سافٹ ویر استعمال کر رہے ہیں۔
سوال یہ ہے کہ کیا پائریٹیڈ سافٹ ویراستعمال کرنا حرام کے ذمرے میں آتا ہے ؟
ہمارے دین میں سختی سے حرام کی ممانعت کی گئی ہے، بظاہر لگتا تو ایسے ہی ہے کہ پائریٹیڈ سافٹ ویر استعمال کرنا حرام کے ذمرے میں آتا ہے، کیوں کہ ایک سافٹ ویر پر کسی انسان یا ادارے نے محنت کی ہے، وقت صرف کر کے اسے تیار کیا ہے،پھر اسکی ایک قیمت مقرر کرتا ہے، ہم اس کی بنائی ہوئی چیز بنا اسکی اجرت ادا کیے استعمال کرتے ہیں ایسی چیز ہم پر حلال تو نہ ہوئی نہ؟
یہ سوال بعد میں آتا ہے کہ آیا سافٹ ویر بنانے والی کمپنی سافٹ ویرکی زیادہ قیمت وصول کر رہی ہے یا جائز
سافٹ ویر تیار کرنے والی کمپنی اپنے بنائے گئے سافٹ ویر کی لاگت سے سینکڑوں گنا زیادہ منافع کما چکی ہے یا کم
یا سافٹ ویر بنانے والی کمپنی مسلم ملک کی ہے یا غیر مسلم ملک کہ یا غیر مسلم حکومت کے ملک میں کام کر رہی ہے
میں تو اتنا جانتا ہوں کہ ہمارے دین میں بنا اجازت کسی کی چیز بھی استعمال نہ کرنےکا حکم ہے،
کچھ لوگ کہیں گےکہ انہوں نے تو باقاعدہ قیمت دے کر دکان سے سافٹ ویر کی سی ڈی خریدی ہے لیکن یہ تو سب جانتے ہیں کہ سافٹ ویر کسی اور نے تیار کیا ہے آگے سے بیچنے والوں نے اسکے ہزاروں نسخے بنا کر فروخت کیے ہیں۔ کیا اتنی دلیل کافی ہے کہ آپ نے خود سے تو کوئی بے ایمانی نہیں کی بلکہ اس شخص نے کی ہے جو اصل کے نسخے بنا رہا ہے
یہی مسائل کتابوں کے ساتھ بھی ہیں، ایسی کتب جو بہت مہنگی ہیں، پاکستان میں ان کی فوٹو کاپی کر کے بیچی جاتی ہے، ان میں ایسے طلبا بھی ہیں جو کتاب کی اصل قیمت نہیں دے سکتے اور ایسے بھی ہیں جو اصل قیمت بھی دے سکتے ہیں۔
میں مانتا ہوں کہ یہ مسلہ بہت پیچیدہ ہے اور شاید اتنا بڑا مسلہ ہے بھی نہیں، مگر کچھ لوگ ایسے بھی ہیں جو ان چھوٹی چھوٹی باتوں کو بھی سوچتے ہیں، آپ بے حد محنت کر کے پڑھائی مکمل کرکے ملازمت کرتے ہیں، مگر آپ نے جن کتابوں سے پڑھا ان کا مواد چوری شدہ تھا، کیا یہ بات آپ کو کسی سوچ میں مبتلا نہیں کرتی؟
کچھ لوگ ایسے بھی ہیں جو حرام کی ایک چھینٹ بھی اپنے گھر یا اپنی روزی میں برداشت نہیں کرتے، لیکن اگر روز قیامت اس بات کا حساب دینا پڑ گیا تو پھر کیا کریں گے ؟
اگر بل گیٹ نے پکڑ لیا اور کہا لائو میری وینڈو کے پیسے تو کیا کرسکیں گے؟ یا کوئی مجے اس بات کی گارنٹی دے دے کے ایسے چھوٹے چھوٹے جرائم کا حساب نہیں ہو گا، ہے کسی کے پاس گارنٹی ؟ اس موضوع میں ایک بات کا اضافہ یہ کروں گا جو کہ ایک دلیل بھی ہے، کہ سافٹ ویر بنانے والی کمپنی اگر یہ جانتی ہو کہ لوگ اسکے سافٹ ویر کے کئی نسخے بنا کر استعمال کر رہے ہیں پھر بھی وہ چپ رہے تو ایسی صورت میں بھی استعمال کرنے والوں کو گناہ ہو گا۔
اسی موضوع کے حوالے سے ایک مثال بھی دیتا ہوں ،میرے والد صاحب کے ایک دوست تھے جن کے نو، دس بھائی تھے ، وہ خود کو بہت نیک خیال کرتے تھے اور سب بھائیوں نے داڑھیاں بھی رکھی تھی، نماز بھی پڑھتے تھے، ان کی خواتین بھی بہت پردہ دار تھی، وہ صاحب بہت سال پہلے امریکہ چلے گئے ان کو وہاں کا پاسپورٹ بھی مل گیا، انہوں نے کچھ چکر چلا کے اپنا پاسپورٹ پاکستان بھیج دیا، اور اس پاسپورٹ پر ان کے چھوٹے بھائی جو اسی وضع قطع کے تھے وہ بھی خود کو اپنے بھائی کی جگہ پیش کرکے امریک چلے گئے، یوں 5 بھائی وہی پاسپورٹ استعمال کر کے امیریکہ جا کر سیٹل ہو ئے، ایک دفعہ جب وہ صاحب پاکستان آئے تو میرے والد صاحب نے ان سے اس بارے میں پوچھا اور ساتھ یہ بھی کہا کہ یہ تو آپ دھوکہ کر رہے ہیں، ایک پاسپورٹ پر کئی لوگ بیرون ملک گئے، لیکن آپ تو خود کو بہت نیک خیال کرتے ہیں تو ان صاحب نے فرمایا
“انگریز کے ساتھ دھوکہ کرنا جائز ہے” :-)

Inqilabi Poetry by Sahir Ludhyanvi

Oonchay Oonchay Namoon Ki Takhtiyaan Gira dena
Zulm Kerney Walon Ki Wardiyaan Jala dena

Dar Badar Bhatakna kiya Daftaron k Jungle mein
Beelchay Utha lena Digriyan Jala dena

Maut se Jo Darr Jao Zandagi nahin milti
Jung Jeetna chaho Kashtiyaan Jala dena

Phir Bahu Jalaney ka Haq Tumhain Puhunchta hai
Pehlay Apney Aangan ki Baitiyaan Jala dena

suno achha nahin lagta

suno achha nahin lagta
karay jab tazkira koi
karay jab tabsira koi
tumhari zaat ko khojay
tumhari baat ko sochay
mujhay achha nahin lagta

suno achha nahin lagta
tumhari muskurahat per
hazaron log martay hon
tumhari aik aahat per
hazaron dil dharaktay hon
kisi ka tum pe youn marna
mujhay achha nahin lagta

suno achha nahin lagta
hawa guzray tumhain chhoo ker
na ho ga zabt yeh mujh se
karay gustaakhian tum se
mujhay achha nahin lagta

suno achha nahin lagta
k tum ko phool bhi daikhain
tumharay paas woh mehkain
ya chanda ki guzarish ho
k apni roshni bakhshoon
rukh-e-janan koi daikhay
mujahy achha nahin lagta
mujahy achha nahin lagta

Barish

Ye Barishain bhi tum si hain, Jo baras gai to bahar hai, Jo tehar gayee tu qarar hai, Kabhi aa gai yunhi besabab, Kaabhi cha gai yunhi roz-o-shab, Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain, Ye barishain b tum si hain, kabhi boond boond ma gum si hay, Ye barishain b tum si hain

Friday, January 14, 2011

kya ajab intikhab apna tha

kya ajab intikhab apna tha
jan apne azaab apna tha
kouch milai log zamanai saz
kouch moqaddar kharab apna tha
yai thai k moslis thai ham dosti main
qusoor janab yai apna tha
ab kya krna os bewafa sai gila ker k
wo b to intikhab apna tha

Barish ki Khushboo

chandni raat k hathon pay sawar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
@};-
is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai
@};-
isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi
@};-
meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
@};-
isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
meray pairon say jo liptay to safar khultay hain
@};-
yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
ab kisi tor palat ker nahi janay deti
@};-
meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti
@};-
ranj or dard main doobi bahar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

Muje tb b mohbt thi ab b mohbt hy

Muje tb b mohbt thi ab b mohbt hy
Tere qadmo ki ahat sy
Teri muskurahat sy
Teri baton ki khushbu sy
Teri ankhon k jadu sy
Teri dilkash adaon sy
Teri qatil jafaon sy
Muje tb b mohbt thi muje ab b mohbt hy.
Teri rahon mein rukne sy
Teri palkon k jhukne sy
Sehr_o_ sham hathon pe
Tera he name likhne sy
Tere tesh_o_adawat sy
Teri be_ja shikayat sy
Yahan tk k jaan meri
Teri hr 1 adat sy muje tb b mohbt thi muje ab b mohbt hy.

پرانی چاہتوں کو بھول جانا اُس کی عادت ہے

محبتوں میں وہ تازہ بہ تازہ کا ہی قائل ہے
پرانی چاہتوں کو بھول جانا اُس کی عادت ہے
محبت میں وہ سنجیدہ ہے کتنا دیکھتے رہنا
محبت ہر کسی سے یوں جتانا اُس کی عادت ہے