MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

Zindagi k raston main itni gard urti hai

Zindagi k raston main itni gard urti hai
Fa'aslay se dekhein tou kuch nazar nahi ata
Manzilon k chehray bhi, Rah ki nishani bhi
Sab hi doob jatay hain
Gard k samandar main
Dard k samandar main
Ra'asta nahi milta ,fa'asla nahi ghat'ta.....!!!

Jis jaga se niklay thay hum, safar k rasto par
wahan pohanch k dekhein tou har taraf udaasi hai
har taraf andheera hai
Kuch nazar nahi Ata____ !
bay-nishaan raston main
Weham tou atay hain
Apna Ghar Nahi Ata...........!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment