MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main

sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main

bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mehfilon mein tujhe dhundta hun main

main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse garha hun main

kis-kiska nam laun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main

na jane kis ada se liya tune mera nam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

le mere tajurbon se sabaq ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main

jaga hua zamir wo aina hai “Qateel”
sone se pehale roz jise dekhta hun main

1 comment: