MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
neri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa

jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aastee.n main chupa howa

merey aik gosha-e fik'r main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
kahee.n khoon-e dill sey likha howa, kahee.n ansoo.n sey mita howa

mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa

humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah um'r guzar gaii
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa

No comments:

Post a Comment