MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

agaz to hota hai anjam nahin hota jab meri kahani main wo nam nahin hota

agaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota

jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota

hans hans k jawan dil k ham kyon na chunain tukre
har shakhs ki qismat main inaam nahin hota

behte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota

din dube hain ya dubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota

No comments:

Post a Comment