MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

AUR KUCH DAIR.....!

AUR KUCH DAIR.....!
Aur kuch hi dair main, jub phir meray dil ko
Fikr aa lay gee ke tanhai ka kia chara karay
Dard aaye ga dabay paon, liye surkh charagh
Woh jo ik dard dharakta hai kahin dil se pury

Shola-e-dard jo pehloo main lapak uthay ga
Dil ki deewar pe her naqsh damak uthay ga

Halqa-e-zulf kaheen, gohsa-e-rukhsar kaheen
Hijr ka dasht kaheen, gulshan-e-deedar kaheen
Lutf ki baat kaheen, pyar ka iqrar kaheen

Dil se phir ho gi maray baat ke ai dil ai dil
Yeh jo mehboob bana hai teri tanhai ka
Yeh to mehmaan hai ghari bhar ka, chala jaye ga
Is se kub teri museebat ka madawa ho ga
Mushtail ho ke abhi uthain gay wehshi saaye
Yeh chala jaye ga, reh jain ge baqi saaye
Raat bhar jin se bara khoon kharaaba ho ga
Jang thehri hai koi khail nahin hai ai dil
Dushman-e-jaan hain sabhi, saray ke saray qatil
Yeh kari raat bhi, yeh saaye bhi, tanhai bhi
Dard aur jang main kuch mail nahin hai ai dil
Lao, sulgao koi josh-e-ghazab ka angaar
Taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
Woh dehekta hua gulzaar kahan hai lao
Jis main germi bhi hai, harkat bhi, tawanai bhi

Ho na ho apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
Muntazir ho ga andhairay ki faseelon ke idhar
Un ko sholon ke rajz apna pata to dain ge
Khair, hum tak wo na pohonchay bhi, sada to dain ge
Dur kitni hai abhi subh, bata to dain ge

No comments:

Post a Comment