MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

~Usay ye baat samjhao

~Usay ye baat samjhao
Tumhen hum yaad karte hain

~Kabhi milne chale aao
Tumhen hum yaad karte hain

~Hamare sheher se jab tum gae thay
hum ne na roka tha

~Hamare dil se mat jao
Tumhen hum yaad karte hain

~Tumhare naam ki har shay
wahin mojud hai lekin

~Kabhi khud bhi chalay aao
Tumhen hum yaad karte hain

~Wafa do ge, Wafa dein ge,
Jafa do ge, khafa hon ge

~Wo baaten phir se dohrao
Tumhen hum yaad karty hain.....!!!!

No comments:

Post a Comment