MyUrduStuff

Saturday, May 21, 2011

مری نظم گاہ کے دشت میں

مری نظم گاہ کے دشت میں
کوئی صبح رنگِ ملال سی
کوئی شام، زلف مثال سی
کوئی لمس اطلسِ حُسن کا
کوئی نقش عطر مزاج سا
کوئی عکس آئینہ فام سا
کوئی حرف ،حرفِ دوام سا
کہ ہجومِ نگہت و نور سے کوئی خواب مثلِ مہِ تمام طلوع ہو
مری نظم گاہ کے دشت میں
ترے چشم و لب سے مکالمہ تو
شروع ہو

aaj FIRST APRIL hai

Aik din achanak he
phone aa gya us ka
lehjay ki malamat se
ho raha tha sub zahir
ro rahi thi shidat se
larkharatay lafzon se
kar rahi thi batain wo

Tum kahan thay itnay din?
roz phone kerti thi
baat tum se kerni hai
jo bohat zaroori hai

Khush nahin hon main bhi kuch
pyar tera thukra ker
sara din tarrapti hon
chain he nahi milta
jagti hon shub bher main
neend he nahi aati
jo nahi kaha kal tak
aaj tum se kehti hoon
pyar tum se kerti hon

Main nay phir kaha us se
main na kehta tha tum se
aik din tou aana hai
lot ker tumhain wapis
kaisay tum bina mere
zindagi guzaro gi
zinda tou raho gi per
zindagi na ho gi wo
aik aik lemhay mein
yaad meri aaye gi

Doosri taraf se phir
Qehqaha sa aaya aik
aur wo lagi kehnay
tum bhi kitnay pagal ho
jantay nahi itna
aaj FIRST APRIL hai

کوئی بھول ہو تو معاف کر مجھے بخش دے جو خطا کروں

جو ملے حیات ِخضر مجھے
اور اُسے میں صرف ِثناء کروں
تیرا شکر پھر بھی ادا نہ ہو
تیرا شکر کیسے ادا کروں

تیرے لطف کی کوئی حد نہیں
گنوں کس طرح کے عدد نہیں
نہیں کوئی تیرے سوا میرا
جسے یاد تیرے سوا کروں

میں بہت ہی عاجز و بے نوا
تیرے آگے میری بساط کیا
میں کہا کروں، تُو سُنا کرے
تُو دیا کرے، میں لیا کروں

تیرے در پہ خم رہے سر میرا
تیری رحمتوں میں گُزر میرا
کوئی بھول ہو تو معاف کر
مجھے بخش دے جو خطا کروں

agaz to hota hai anjam nahin hota jab meri kahani main wo nam nahin hota

agaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota

jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota

hans hans k jawan dil k ham kyon na chunain tukre
har shakhs ki qismat main inaam nahin hota

behte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota

din dube hain ya dubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota

Tumhe Janaa Ijazat Hai

Tumhe Janaa Ijazat Hai

Tumhe Janaa Ijazat Hai

Ke In Taareek Raahon Par

Thakan Si Khud Mai Pao To

Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye

Thak Si Jao To

Mere Jalte Hue Lamhon

Mere Kangaal Hathon Se Chura Ke Apne Hathon Ko

Fiza Ki Naghmagi Se Tum Naye Geeton Ko Chun Lena

Haseen Palkon Ki Nokon Par Naye Kuch Khuwab Bun Lena

Koi Gar Pooch Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna

Mere Jeewan Ki Tapti Dopehr Se Be-Gharz Ho Kar

Tum Apni Chandni Raaton Mai Jugnoo Paalti Rehna

Meri Tanhaaiyon Ki Wehshaton Ki Fikr Mat Karna

Tumhen Is Ki Ijazat Hai

Mere Sab Khat Jala Dena

Mere Tohfon Ko Dariya Mai Bahana Ya Daba Dena

Meri Har Yaad Ko Dil Se Khurachna Aur Mita Dena

Tumhen Bilkul Ijazat Hai

Ke Jab Chaho Bhula Dena

Magar Itni Guzarish Hai

Agar Aesa Na Ho Janaa

To acha hai……..!

تم محبت میں کہاں سود و زیاں لے آئے عشق کا نام خِرد ہے نہ جنوں ہے ، یوں ہے


عشق بس ایک کرشمہ ہے ، فسوں ہے ، یوں ہے
یوں تو کہنے کو سبھی کہتے ہیں، یوں ہے ، یوں ہے

جیسے کوئی درِ دل پر ہو ستادہ کب سے
ایک سایہ نہ دروں ہے ، نہ بروں ہے ، یوں ہے

تم محبت میں کہاں سود و زیاں لے آئے
عشق کا نام خِرد ہے نہ جنوں ہے ، یوں ہے

اب تم آئے ہو میری جان تماشا کرنے
اب تو دریا میں تلاطم نہ سکوں ہے ، یوں ہے

تو نے دیکھی ہی نہیں دشتِ وفا کی تصویر
نوکِ ہر خار پے اک قطرۂ خوں ہے ، یوں ہے

ناصحا تجھ کو خبر کیا کہ محبت کیا ہے
روز آ جاتا ہے سمجھاتا ہے یوں ہے ، یوں ہے

شاعری تازہ زمانوں کی ہے معمار فراز
یہ بھی اک سلسلۂ کن فیکوں ہے ، یوں ہے

مری زندگی ہے ظالم ،تیرے غم سے آشکارا تیرا غم ہے در حقیقت مجھے زندگی سے پیارا

مری زندگی ہے ظالم ،تیرے غم سے آشکارا
تیرا غم ہے در حقیقت مجھے زندگی سے پیارا

وہ اگر بُرا نا مانیں تو جہانِ رنگ و بُو میں
میں سکونِ دل کی خاطر کوئی ڈھونڈ لوں سہارا

مجھے آ گیا یقیں سا کہ یہی ہے میری منزل
سرِ راہ جب کسی نے مُجھے دفعتاً پُکارا

میں بتاؤں فرق ناصح جوہے مُجھ میں اور تُجھ میں
میری زندگی تلاطم ، تیری زندگی کنارا

مُجھے گفتگو سے بڑھ کر غمِ اذنِ گفتگو ہے
وُہی بات پُوچھتے ہیں جو نا کہہ سکوں دوبارا

کوئی اے شکیل دیکھے یہ جنون نہیں تو کیا ہے
کہ اُسی کے ہو گئے ہم جو نا ہو سکا ہمارا

MAI JIN DUKHON KI THI INTEHA PER, WO PHIR SE UNKA AGHAAZ LAYA...!!!

Woh mujh ko likhta tha
ay meri jaan...!!!
judaiyon ki udaas rut mein,
khafa na hona..

mai laot aya to
qurbtoon k haseen mosum se,
dil ka aangan sanwaar donga,
bahar us mai utaar donga,
mai le k aon ga sath apne
mohbton k gulab mosum,
wafa mai dubay seemab lamhay,
tumhari khatir,
tmhari khatir...

MAGAR....!
wo aya to
uzar laya,
jawaz laya,
wazahaton ka mahaz laya..
MAI JIN DUKHON KI THI INTEHA PER,
WO PHIR SE UNKA AGHAAZ LAYA...!!!

ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
neri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa

jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aastee.n main chupa howa

merey aik gosha-e fik'r main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
kahee.n khoon-e dill sey likha howa, kahee.n ansoo.n sey mita howa

mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa

humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah um'r guzar gaii
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa

Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha
Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha
Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha
Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha
Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

Mujhay likhnay wala likhay bhi kya, mujhay parhnay wala parhay bhi kya

Meri zindagi bhi meri nahi ye hazaar khanon mai but gai
Mujhay ek muthi zameen day ye zameen kitni simat gai

Teri yaad aye to chup rahoon zara chup rahoon to ghazal kahoon
Ye ajab aag ki bail thi meray tan badan say lipat gai

Mujhay likhnay wala likhay bhi kya, mujhay parhnay wala parhay bhi kya
Jahan mera naam likha gya waheen roshnaye ulat gai

Na koi khushi na malal hai keh sabhi ka ek sa haal hai
Tery sukh kay din bhi guzar gaye meri gham ki raat bhi cut gai

Meri bund palkon pay toot kar koi phool raat bikhar gya
Mujhay siskio'n nay jaga diya meri kachi neend bhi uchut gai

sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main

sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main

bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mehfilon mein tujhe dhundta hun main

main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse garha hun main

kis-kiska nam laun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main

na jane kis ada se liya tune mera nam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

le mere tajurbon se sabaq ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main

jaga hua zamir wo aina hai “Qateel”
sone se pehale roz jise dekhta hun main

AUR KUCH DAIR.....!

AUR KUCH DAIR.....!
Aur kuch hi dair main, jub phir meray dil ko
Fikr aa lay gee ke tanhai ka kia chara karay
Dard aaye ga dabay paon, liye surkh charagh
Woh jo ik dard dharakta hai kahin dil se pury

Shola-e-dard jo pehloo main lapak uthay ga
Dil ki deewar pe her naqsh damak uthay ga

Halqa-e-zulf kaheen, gohsa-e-rukhsar kaheen
Hijr ka dasht kaheen, gulshan-e-deedar kaheen
Lutf ki baat kaheen, pyar ka iqrar kaheen

Dil se phir ho gi maray baat ke ai dil ai dil
Yeh jo mehboob bana hai teri tanhai ka
Yeh to mehmaan hai ghari bhar ka, chala jaye ga
Is se kub teri museebat ka madawa ho ga
Mushtail ho ke abhi uthain gay wehshi saaye
Yeh chala jaye ga, reh jain ge baqi saaye
Raat bhar jin se bara khoon kharaaba ho ga
Jang thehri hai koi khail nahin hai ai dil
Dushman-e-jaan hain sabhi, saray ke saray qatil
Yeh kari raat bhi, yeh saaye bhi, tanhai bhi
Dard aur jang main kuch mail nahin hai ai dil
Lao, sulgao koi josh-e-ghazab ka angaar
Taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
Woh dehekta hua gulzaar kahan hai lao
Jis main germi bhi hai, harkat bhi, tawanai bhi

Ho na ho apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
Muntazir ho ga andhairay ki faseelon ke idhar
Un ko sholon ke rajz apna pata to dain ge
Khair, hum tak wo na pohonchay bhi, sada to dain ge
Dur kitni hai abhi subh, bata to dain ge

some stuff

ajeeb shaks tha guxra jo meri nagri say
mujhay hi khud say bhi mehroom kar gaya abb k
::............................::


Tash'Khees Baja Hai Ke Mujhy Ishq Hua Hai
Nuskhay Me Likho Un Se Mulaqaat Musalsal
::............................::



Me logoon se mulaqaton k lamhen yaad rakhta hon,
me batein bhul b jaun to lehje yaad rakhta hon.
::............................::


Ye Tumhaari Talkh-Nawaaiyaan, Koi Aur Seh ke Dikha To De,,,
Ye Jo Tum Mein Mujhe Mein Nibaah Hai, Mere Hosle Ka Kamaal Hai...!
::............................::

ہم نازک نازک دل والے

ہم نازک نازک دل والے
بس ایسے ہی تو ہوتے ہیں
کبھی ہنستے ہیں کبھی روتے ہیں
کبھی دل میں خواب پروتے ہیں
کبھی محفل میں پھرتے ہیں
کبھی ذات میں تنہا ہوتے ہیں
کبھی چپ کی مہر لگاتے ہیں
کبھی گیت لبوں پر لاتے ہیں
کبھی سب کا دل بہلاتے ہیں
کبھی خود میں تنہا ہوتے ہیں
کبھی شب بھر جاگتے رهتے ہیں
کبھی لمبی تان کر سوتے ہیں
ہم نازک نازک دل والے
بس ایسے ہی تو ہوتے ہیں
کبھی ہنستے ہیں کبھی روتے ہیں
کبھی دل میں خواب پروتے ہیں

~Usay ye baat samjhao

~Usay ye baat samjhao
Tumhen hum yaad karte hain

~Kabhi milne chale aao
Tumhen hum yaad karte hain

~Hamare sheher se jab tum gae thay
hum ne na roka tha

~Hamare dil se mat jao
Tumhen hum yaad karte hain

~Tumhare naam ki har shay
wahin mojud hai lekin

~Kabhi khud bhi chalay aao
Tumhen hum yaad karte hain

~Wafa do ge, Wafa dein ge,
Jafa do ge, khafa hon ge

~Wo baaten phir se dohrao
Tumhen hum yaad karty hain.....!!!!

Zindagi k raston main itni gard urti hai

Zindagi k raston main itni gard urti hai
Fa'aslay se dekhein tou kuch nazar nahi ata
Manzilon k chehray bhi, Rah ki nishani bhi
Sab hi doob jatay hain
Gard k samandar main
Dard k samandar main
Ra'asta nahi milta ,fa'asla nahi ghat'ta.....!!!

Jis jaga se niklay thay hum, safar k rasto par
wahan pohanch k dekhein tou har taraf udaasi hai
har taraf andheera hai
Kuch nazar nahi Ata____ !
bay-nishaan raston main
Weham tou atay hain
Apna Ghar Nahi Ata...........!!!!!!!!!

محبت ذات ہوتی ھے

محبت ذات ہوتی ھے

محبت ذات کی تکمیل ھوتی ھے
کوئی جنگل میں جا ٹھہرے ، کسی بستی میں بس جائے محبت ساتھ ہوتی ھے
محبت خوشبوؤں کی لے
محبت موسموں کی دھن
محبت آبشاروں کے نکھرتے پانیوں کا من محبت جنگلوں میں رقص کرتی مورنی کا تن محبت برف پڑتی سردیوں میں دھوپ بنتی ھے محبت چلچلاتے گرم صحراؤں میں ٹھنڈی چھاؤں کی مانند محبت اجنبی دنیا میں اپنے گاؤں کی مانند محبت دل
محبت جاں
محبت روح کا درماں
محبت مورتی ھے
اور کبھی جو دل کے مندر میں کہیں پر ٹوٹ جائے تو محبت کانچ کی گڑیا
فضاؤں میں کسی کے ھاتھ سے گر چھوٹ جائے تو محبت آبلہ ھے کرب کا
اور پھوٹ جائے تو
محبت روگ ھوتی ھے
محبت سوگ ھوتی ھے
محبت شام ھوتی ھے
محبت رات ھوتی ھے
محبت جھلملاتی آنکھ میں برسات ھوتی ھے محبت نیند کی رت میں خوابوں کے رستوں پر سلگتے جاں کو آتے رتجگوں کی گھات ہوتی ھے
محبت جیت ہوتی ھے
محبت مات ھوتی ھے
محبت ذات ھوتی ھے

فطرت کو خرد کے روبرو کر

فطرت کو خرد کے روبرو کر
تسخير مقام رنگ و بو کر
تو اپني خودي کو کھو چکا ہے
کھوئي ہوئي شے کي جستجو کر
تاروں کي فضا ہے بيکرانہ
تو بھي يہ مقام آرزو کر
عرياں ہيں ترے چمن کي حوريں
چاک گل و لالہ کو رفو کر
بے ذوق نہيں اگرچہ فطرت
جو اس سے نہ ہو سکا ، وہ تو کر

Aj mein ne apna ek khuwab kho diya ...

Aj mein ne apna ek khuwab kho diya ...
Aankhon ke ragzaar mai saraab kho diya ...

Manind rait haath se lamhe phisal gaye...
Rah e hayaat mein kuch aese log mil gaye...

Kyun bewajah ankhon mai kuch sapne saja liye...?
Dil mai kisi ke piyar ke chiragh jala liye...

Ab zindagi ki dor suljhaon to kis tarha ...?
Had-e nazer se lot ker aaon to kis tarha ...?

Socha nahi tha chah mai itna bikhar jaon gi mein...
Apni hi nigah mai khud aap gir jaon gi mai ...

Sunti hoon dil ki oor se halki si chaap ko ...
Jab bhi kabhi samait ti hoon apne aap ko ...

Jo aas bhi lagai wo dil tor kar gai ...
Kyun umeed k shehr mein mai dur tak gai ...?

Jhatke mein koi mujh se mera aetebaar le gaya ...
Aur saath mein zindagi k dard aur ansoo de gaya ...

Ek ishara chahiye mujh ko kisi tadbeer ka ...
Aur badal daloon mei saffah apni taqdeer ka ...

Apne pairon per to mai phir se khari ho jaon gi ...
Per fareb e aarzoo mein phir kabhi na aaon gi .....!!!!