MyUrduStuff

Monday, June 20, 2011

Jab tak hansta gata mausam apna hay, sab apnay hain

Chahat main kia dunya dari, ishq main kaisi majburi
Logon ka kia, samjanay do, in ki apni majburi

Main nay dil ki baat raki aur tum nay dunya walon ki
Mairi arz bhe majburi thi un ka hukam bhe majburi

rok sako to pehli barish ki boondon ko tum roko
kachi matti to mehkegee, hay matti ki majburi

Jab tak hansta gata mausam apna hay, sab apnay hain
Wakt paray to yaad aa jati hay masnooee majburi

Muddat Guzree 1 waday per aaj bhi qaim hain mohsin
Ham ny saree Umer nibahee apni pehli majboree

1 comment: